Tirthankar

1.Tirthankar kise kehete hai ?

Ans:Jinke Panchkalyanak hote hai ,jo sacche dharma ka updesh dete hai unhe ‘Tirthankar’ kehete hai .

2.Tirthankar kitne hote hai ?

Ans:Tirthankar 24 hote hai .

3.Bhagwaan kitne hote hai ?

Ans:Bhagwaan bahut hote hai .

4.Vartamaan kaal(Presently) ke Tirthankaro ke naam aevam(aur) chinha (symbol) kya kya hai ?

Ans: Tirthankaro ke chinha iss prakaar hai :

20151126_172829
Tirthankar(1-12) and their chinha (symbol)
20151206_222958
Tirthankar (13-24) with their chinha(symbol)

 

Sr.No Name Symbol
1 Rishabhnathji Beil(Bull)
2 Ajithnathji Hathi(Elephant)
3 Sambhavnathji Ghoda(Horse)
4 Abhinandanji Bandar(Monkey)
5 Sumanthinathji Chakwa(Ruddy Shelduck Bird)
6 Padmaprabhuji Sweth Padma(White Lotus Flower)
7 Suparshwanathji Swastik
8 Chandaprabhuji Chandra(Moon)
9 Pushpadantji Magar(Crocodile)
10 Shitalnathji Kalpavriksha(wish-fulfilling divine tree)
11 Shreyanshnathji Genda(Rhinoceros)
12 Vasupujyaji Bhaisa(Buffalo)
13 Vimalnathji Shukar(Pig)
14 Anantnathji Sehi(Porcupine)
15 Dharmanathji Vajradand(dnt knw:( )
16 Shantinathji Hiran(Deer)
17 Kunthunathji Bakra(Male Goat-Buck)
18 Arahnathji Matsya(Fish)
19 Mallinathji Kalash(Pitcher Pot)
20 Munisuvrathnathji Kachuwa(Tortoise)
21 Naminathji Kamal(Lotus)
22 Neminathji Shankh(Conch)
23 Parshvanathji Sarp(Snake)
24 Mahavir Swamiji Sinha(Lion)

5. Tirthankaro ke chinha kyu hote hai ?

Ans: Chinha(Symbol) se Tirthankaro ki pehchaan hoti hai .

6. Chinha kaun rakhte ya bataate hai ?

Ans : Saudharm Indra bhagwaan ke Janma-Abhishek (Anointing at the bhagwan’s birth) ke samay ‘dahine  pair ke anguthe (Right leg big/great toe)’  mein jo koi aakaar(shape/symbol) dikhai deta hai usse nischit kar deta hai .

7. Vartamaan ke Tirthankaro ke janm ke sthaan(places) kaun kaun se hai ?

Ans:

Sr.No Name Janm Nagri
1 Rishabhnathji Ayodhya
2 Ajithnathji Ayodhya
3 Sambhavnathji Shravasti
4 Abhinandanji Ayodhya
5 Sumanthinathji Ayodhya
6 Padmaprabhuji Kaushaambi
7 Suparshwanathji Banaras
8 Chandaprabhuji Chandrapuri
9 Pushpadantji Kaakandi
10 Shitalnathji Bhaddalpur
11 Shreyanshnathji Sinhapuri
12 Vasupujyaji Chumpapuri
13 Vimalnathji Kapeela
14 Anantnathji Ayodhya
15 Dharmanathji Ratnapuri
16 Shantinathji Hastinapur
17 Kunthunathji Hastinapur
18 Arahnathji Hastinapur
19 Mallinathji Mithila
20 Munisuvrathnathji Raajgruhi
21 Naminathji Mithila
22 Neminathji Sauripur
23 Parshvanathji Banaras
24 Mahavir Swamiji Kundalpur

8. Vartamaan ke 24 Tirthankar bhagwaan kaha- kaha se Moksh gaye ?

Ans:

Tirthankar’s Sr.No Name Moksh Sthal
1 Adinathji/Rishabhnathji/ Kailash Parbat
12 Vasupujyaji Champapuri
22 Neminathji Girnaar Parbat
24 Mahavir Swaami Pavapuri

Aur Sheysh (remaining) 20 Tirthankar bhagwaan ‘Sammed Shikarji  Siddh Shetra’ se Moksh gaye .

9. 24 Tirthankaro mein se adhik naam waale bhagwaan kitne aur kaun -kaun se hai ?

Ans: Adhik naam waale bhawaan

1.Adinathji , 2. Pushpadantji , 3. Mahavir

Tirthankar  Aur Is Naam Se Jaane Jaate Hai
 Aadinathji  Rishabhnathji,

Vrushabhnathji ,

Aadinathji

Pushpadantji Pushpadantji ,

Suvidhinathji

Mahavir Bhagwan Veer ,

Ativeer,

Sanmati ,

Vardhaman ,

Mahavir

10. 24 Tirthankar bhagwaan ke shareer(body) ke rang(colour) kaun -kaun se hai ?

Ans:

Tirthankar  Shareer Ka Rang/Varna (Body Colour)
Chandaprabhuji,Pushpadantji Shukla Varna
Munisuvrathnathji,Neminathji Shyaam Varna
PadmaPrabhuji,Vasupujyaji Laal Varna
Suparshvanathji,Parshvanathji Harit Varna

Sheysh(Remaining) 16 Tirthankaro ke shareer ka varna tapaay hue sone(gold) ke samaan Peet(like yellow ) varna hai .

11.Abhi kaun se bhagwaan ka tirth chal raha hai ?

Ans:Abhi 24ve Mahavir Bhagwaan ka tirth chal raha hai .

12.Bhagwaan Mahavir ke mata-pita ka naam kya tha ?

Ans:Bhagwaan Mahavir ke mata-pita ka naam Trishla devi aur Siddharth  tha.

13.Mahavir Bhagwaan ka janm kab hua tha ?

Ans:Mahavir Bhagwaan ka janm Chaitra Shukla Trayodashi (teras) ke din hua tha .

14.Mahavir Bhagwaan ka moksh kis din hua tha ?

Ans:Mahavir Bhagwaan ka moksh Kartik Krushna Amawasya Deepavali ke din hua tha .

15.Mahavir Bhagwaan ne shaadi ki thi ya nahi ?

Ans: Nahi , Mahavir Bhagwaan Baal Brahmachaari (Practicing celibacy right from childhood) the .

16.Baal Brahmachaari Tirthankar kitne hai aur kaun-kaun hai ?

Ans:Baal Brahmachaari Tirthankar 5 hai –

1.Vasupujyaji , 2.Mallinathji , 3.Neminathji , 4. Parshvanathji , 5. Mahavir Swami.

17.Teen Pud ke dhaari Tirthankar kitne avem kaun se hai ?

Ans: Shaantinathji , Kunthunathji , Arahnathji  yah  3 Tirthankar a.Chakravarti , b.Tirthankar , c. Kaamdev  aise teen pud ke dhaari the .

18.Bhutkaal (Past) ke 24 Tirthankaro ke naam kya the ?

Ans: Bhutkaal (Past) ke 24 Tirthankaro ke naam yah the :

Sr No. Tirthankar Sr No. Tirthankar
1 Shri  Nirvanji 13 Shri  Shivganji
2 Shri   Sagarji 14 Shri   Uthsaahji
3 Shri  Mahasadhuji 15 Shri  Gyaaneshwarji
4 Shri  Vimalprabhuji 16 Shri  Parameshwarji
5 Shridharji 17 Shri  Vimaleshwarji
6 Shri  Suduttji 18 Shri  Yashodharji
7 Shri  Amalprabhuji 19 Shri  Krushnamatiji
8 Shri  Uddharji 20 Shri  Gyaanmatiji
9 Shri  Adingarji 21 Shri  Shudhmatiji
10 Shri  Sanmatiji 22 Shri  Bhadraji
11 Shri  Sindhuji 23 Shri   Atikaantji
12 Shri  Kusumaashchalliji 24 Shri  Shaantaji

 

19. Bhavishyakaal (Future) ke 24 Tirthankaro ke naam kya honge ?

Ans: Bhavishyakaal (Future) ke 24 Tirthankaro ke naam  yah honge :

Sr No. Tirthankar Sr No. Tirthankar
1  Shri  Mahapadmaji 13  Nishpaapji
2  Surdevji 14  Nishkashaayji
3  Suparshvaji 15  Vipulji
4  Swayamprabhuji 16  Nirmalji
5  Sarvaatmabhutji 17  Chitraguptji
6  Devputraji 18  Samaadhiguptji
7  Kulputraji 19  Swayambhuji
8  Udankji 20  Anivruttikji
9  Prowshthilji 21  Jayji
10  Jaykirtiji 22  Vimalji
 11  Munisuvratji 23  Devpaalji
 12  Arji(Asam) 24  Anantviryaji

20. Tirthankar  kaun bante hai ? Kya hum bhi Tirthankar ban sakte hai ?

Ans: Jo sab jivo ka heet (welfare) chahate hai ve Tirthankar bante hai . Hum bhi aisi bhaavna rakhenge toh hum sab bhi Tirthankar ban jaaenge .

Mangal

1.Lok mein ‘Mangal’ kitne hai ?

Ans:Lok mein 4 Mangal  hai

2. Mangal kaun-kaun se hai ?
Ans: 1.Arihant , 2.Siddha , 3. Sadhu , 4.Kevali Pranit Dharm

3. Lok mein ‘Uttam’ kitne hai aur kaun-kaun se hai ?
Ans: Lok mein 4 Uttam hai – 1.Arihant , 2.Siddha , 3. Sadhu , 4.Kevali Pranit Dharm

4. Lok mein ‘Sharan’ kitne hai aur kaun-kaun se hai ?
Ans: Lok mein 4 Sharan hai – 1.Arihant , 2.Siddha , 3. Sadhu , 4.Kevali Pranit Dharm

5. Mata-Pita Sharan nahi hai kya ?
Ans : Nahi ! Mata – Pita saara parivaar koi sharan nahi hai . Sab kuch samay ke saathi hai .Parantu inki ‘Seva’ karna ‘Kartavya’ hai .

Parmeshthi

1.Parmeshthi kise kehete hai ?

Ans :Jo Param Pad mein stith ho unhe Parmeshthi kehete hai . Ve panch indriyo(5 senses)  ke daas nahi hote . Unhe Raja ,Maharaja , Indra bhi pranaam karte hai .

  1. Parmeshthi kitne hai ?

Panch Parmeshthi

Ans :  1. Arihant Ji  , 2. Siddha Ji  , 3. Aacharya Ji  ,4. Upadhya Ji , 5. Sadhu Ji

A. Arihant Parmeshthi :

Arihant Parmeshthi

1. Arihant Parmeshthi kise kehete hai ?

Ans :  Vitraag ,Sarvagya , Hitopdeshi jinke 4 ghaa-teeya  karmo ka naash ho gaya hai unhe  Arihant Parmeshthi  kehete hai .

2. Arihant Parmeshthi ke kitne ‘Mulgoon’ hai ?

Ans: Arihant Parmeshthi ke 46 Mulgoon hai .

B. Siddha Parmeshthi 

Siddha Parmeshthi

  1. Siddha Parmeshthi kise kehete hai ?

Ans: Jo Janam Maran se humesha ke liye mukt ho gaye hai aur 8 karm rahit hai unhe Siddha Parmeshthi kehete hai .

2. Siddha Parmeshthi kahan virajmaan rehete hai ?

Ans: Siddha Parmeshthi Lok ke agrah bhaag (SiddhaShila) mein rehete hai .

3.Siddha Parmeshthi ke kitne Mulgoon hai ?

Ans: Siddha Parmeshthi ke 8 mulgoon hai .

C. Acharya Parmeshthi 

Aacharya Parmeshthi

1.Acharya Parmeshthi kise kehte hai ?

Ans : Jo Diksha aur sushikhsha dete hai unhe Acharya Parmeshthi kehete hai .

2. Acharya Parmeshthi ke kitne Mulgoon hote hai ?

Ans: Acharya Parmeshthi ke 36 mulgoon hote hai .

D. Upadhyaya Parmeshthi 

Upadhya Parmeshthi

1.Upadhyaya Parmeshthi kise kehete hai ?

Ans: Jo swayam padhte aur apne shisyo (disciple) ko padhate hai unhe Upadhyaya Parmeshthi  kehete hai .

2.Upadhyaya Parmeshthi  ke kitne Mulgoon hai ?

Ans: Upadhyaya Parmeshthi ke 25 mlgoon hote hai .

E. Sadhu Parmeshthi 

Sadhu Parmeshti

  1. Sadhu Parmeshthi kise kehete hai ?

Ans: Jo 5 Indriyo (5 senses) vishayo ki , aashao se rahit(without) ,aarambh ,parigrah se rahit avam gyaan dhyaan mein leen rehete hai way Sadhu Parmeshthi hai .

2. Sadhu Parmeshthi ke kitne Mulgoon hote hai ?

Ans: Sadhu Parmeshthi ke 28 mulgoon hote hai .

MISCELLANEOUS :

  1. Kya hum bhi Parmesthi ban sakte hai ?

Ans: Haan jo bhi Parmesthi ke samaan mahaan kaam karega wah Parmeshthi ban sakta hai .

2.  Panch Parmesthi mein se humaare samaan aahaar

kaun-kaun  lete hai ?

Ans : Acharaya , Upadhya , Sadhu Parmesthi  Navdha Bhaktipurvak aahaar lete hai .

3. Navdha Bhakti kise kehete hai ?

Ans: Sadhu jab aahar ke liye nikalte hai tab niyam lete hai ki ‘iss vidhi se bhojan milega toh uske yahaan bhojan vidhipurvak karenge  ‘ Navdha bhakti isse kehete hai .

4. Aahaar kaise lete hai ?

Ans : Sadhu khade khade , haath mein , din mein ek baar  aahaar lete hai .

5. Sadhu apne paas paisa nahi rakhte hai toh baal (hair) badhne par kya karte hai ? Unke baal kaun nikaalta hai ?

Ans:  Baalon ke badh jaane par Muniraaj (Aacharya,Upadhya,Sadhu) apne haathon(with bare hands) se  sir , dadhi ,mooch ke baal nikaalte hai jisse ‘Kesh-lonch’ kehete hai .

Namokaar MahaMantra

Namokaar Mahamantra

Jain Dharm mein sabse jyada mahatvapurna mantra hai – ‘Namokaar MahaMantra’.

Namo  Arihantanam                    = Arihanto ko namaskaar ho

Namo  Siddhanam                       = Siddho ko namaskaar ho

Namo  Aayriyanam                      = Aacharyo ko namaskaar ho

Namo  Uwajhayanam                 = Upadhyayo  ko namaskaar ho

Namo Loye-SavvSahunam         =  Lok mein sarv Sadhuo ko namaskaar ho

  1. Namokaar Mantra kisse kehete hai ?

Ans :   Jis Mantra mein Panch Parmeshthi ko namaskaar kiya gaya hai use ‘Namokaar Mantra’ kehete  hai   .

  1. Namokaar Mantra kis bhasha (language) mein likha gaya hai ?

Ans:   ‘Prakrut’  bhasha mein likha gaya hai

  1. Namokaar Mantra mein kitne akshar aur pad hai ?

Ans :  35 Akshar(words) ,5 pad(verseline) hai . Aur thirty five vowels , thirty consonants ,fifty eigth vowel marks are also there (I dnt knw wat are they called in hindi :P)

  1. Namokaar Mantra ka kya mahatva hai ?

Ans :
Namokaar Mantra Mahatva

Aiso Panch Namoyaaro SavvPaavPanaashNo

ManglaNam Cha SavveSim PadhaMum Havaei Mangalum

Meaning – Yeh Panch Namaskaar mantra sab paapo ko naash karne waala hai . Sab Manglo mein pehla mangal hai .